PaglaSongs.com

Top Download Songs :

Kalki Chetavani Song Download

Kalki Chetavani Poster

Kalki Chetavani Mp3 Download Narci


Album Bhakti Songs (2023)
Singer(s)Mahendra Kapoor
Music Composer(s) Narci
Lyric Writter(s) Narci
Added On Jul 25, 2023
Share On Share on FacebookShare on TwitterShare on Whatapp

Listen Kalki Chetavani Audio Music Online

Kalki Chetavani Mp3 Song Download from Bhakti Songs (2023) Album, Kalki Chetavani Song Sung by Mahendra Kapoor, This Latest Song Music composed By Narci and Lyrics written by Narci, Download all Kalki Chetavani mp3 songs in 128Kbps, 192Kbps and 320Kbps - in HD High Quality Audio Music.
128Kbps Mp3 Songs 320Kbps Mp3 Songs
Paglasongs.com does not send any fake DMCA to other sites, if you have any queries/problems please Contact Us.

Kalki Chetavani Lyrics - Narci

[Dhirendra Krishna Shastri] Kalyug Jab Apni Charam Seema Par Aayega Aisa Kalyug Aayega, Na Maryada Hogi, Na Behan, Na Bhai, Na Bhabhi, Na Bhaiya Aisa Kalyug Aayega, Insaanon Ki Maans Ki Mandi Lagegi [Mahendra Kapoor] Kitni Hi Baar Dayanidhi Ne Sansar Ko Aake Ubhar Liya Jab Jab Dharti Par Dharm Ghata Tab Tab Prabhu Ne Avatar Liya Karo Hari Darshan, Karo Hari Darshan Karo Hari Darshan, Karo Hari Darshan [Narci] Ungli Mein Sudarshan Dhaaran, Ek Hath Mein Shankh Sada Ek Hath Mein Kamal Tika Hai, Ek Hath Mein Mere Gada Roop Hazaro Lekar Main Hi Aata Dharti Pe Sthapit Karta Neki Main Jab Bhi Dekhun Paap Badha Treta Mein Maryada Laaya, Dwapar Mein Updesh Diya Leela Dvaara Har Samay Mein Swyam Ko Maine Pesh Kiya Bhakto Ki Chinta Ko Maine Baikunth Se Dekha Hai Narsingh Bhi Bana Hoon Main, Maanav Ka Bhi Bhes Liya Dharm Dabaane Ka Na Bana Ab Tak Waise Shor Koi Paapi Kaise Samjhenge Meri Leela Ka Na Chhor Koi Aur Koi Jo Bhakto Ke Mere Badhte Leke Haani Ko Hari Bhajan Hi Dhaal Bane, Jiska Hai Na Tod Koi Naino Ke Aage Rehti Hai Karmon Ki Bhi Jhaanki Avagat Hoon Main Kaun Sahi Hai, Kaun Dhara Mein Paapi Leela Mein Sandeh Karo Na, Sahi Samay Mein Aaunga Dasham Roop Ki Leela Meri Dharti Mein Hai Baaki Vartmaan Ki Baat Karun To Jaari Hai Abhi Pehla Bhaag Maanav Sote Hai Maya Mein, Kali Gaya Hai Kab Ka Jaag Rangmanch Pe Duniya Ke Wo Naatak Dekhe Paapo Ka Kaam Vaasna Baant Raha Banke Wo Vishaila Naag Jin Jin Ko Pehchaan Kali Ki Wo Na Faste Fande Mein Bhakti Ko Na Jaan Sake Jo Naino Waale Andhe Hai Bhaav Bhare Virodhi Ka Bheetar Tere Dharm Prati Maan Gaye To Sath Chalenge Paap Baith Ke Kandhe Pe Koi Bhi Na Vairi Mera, Saare Mere Praani Hai Karta Hoon Sachet Magar Doori Rakho Haani Se Beete Saare Yugo Mein Paapi Khud Ko Samjhe They Nayak Dharm Bana Tha Nayak Par Meri Har Kahani Mein Saamne Na Kali Abhi Roop Liye Wo Aaya Hai Banke Wo Abhautik Maanas Mein Samaaya Hai Khel Raha Wo Man Mein Baithe Sab Bure Vichaaron Se Tere Andar Ka Maanav Usne Hi Chabaya Hai You Might Also Like Ram Darshan Narci Lose Yourself Eminem K-POP Travis Scott, Bad Bunny & The Weeknd [Mahendra Kapoor] Kitni Hi Baar Dayanidhi Ne Sansar Ko Aake Ubhar Liya Jab Jab Dharti Par Dharm Ghata Tab Tab Prabhu Ne Avatar Liya Karo Hari Darshan, Karo Hari Darshan Karo Hari Darshan, Karo Hari Darshan [Narci] Dharm Ke Teero Se Tum Bhar Ke Apni Haan Tarkash Chalo Mujh Mein Jo Samaana Hai To Khud Mein Bhakti Ras Bharo Samjhaane Pe Bhi Yadi Tum Na Samjhe Neki Ko Sudharsan Ye Chalaane Ko Na Mujhko Tum Vivash Karo Maana Ki Adharmi Saare Bhog Rahe Hai Saara Sukh Saaf Hridy Ke Praani Mujhse Saanjha Karte Saara Dukh Dhyan Mein Rakhun Bhakton Ke Aansuon Ki Boondon Ko Sahi Samay Aane Par Tumko Sakha Milega Saara Kuch Saaron Ki Main Sunta Hoon, Main Peeda Se Anjaan Nahi Leela Meri Jaan Sako Itna Ye Aasan Nahi Deta Yadi Prashnon Ke Na Uttar Tumko Main Sakha Iska Arth Ye Nahi Ki Mera Tumpar Dhyaan Nahi Pralobhan Ye Kali Ke Sau Denge Tumko Poora Noch Saty Dhara Pe Khade Rahe To Paap Banege Kabhi Na Boj Pralobhan Jo Maan Liye, Bhakti Se Jo Door Hue Kaali Yug Ki Antim Raat Kaisi Hogi Lena Soch Antim Hoga Kaisa Din Socho Tum Ek Baar Zara Paap Ke Kaale Meghon Se Aakash Bhi Hoga Saara Bhara Maanvon Ki Jaati Badali Hogi Asuron Mein Nirdoshon Ke Laal Lahu Se Gili Hogi Saari Dhara Na Bachenge Hari Bhajan, Shraddha, Nishtha, Vidhi Ya Reet Na Bachenge Rishte, Vaade, Kasamein, Chinta, Prem Ya Preet Na Bachegi Kala Vishuddh, Na Samarpit Hari Ko Geet Kalyug Ke Hi Maanav Honge Tab Mere Vipareet Kali Zara Tu Dhyaan Se Sun Kaal Tera Bhi Aayega Kakli Ke Ke Hathon Sanhaar Likha Tera Jaayega Hiranyakashyap, Ravan Aur Kans Bache Na Dhara Pe They Kaale Yug Mein Treta Fir Dohraya Jaayega Paap Ki Jalti Jwala Tu Praaniyon Ko Baantein Dukh Le Sahara Nirdoshon Ka Bheed Mein Jaata To Tu Chhup Har Yug Mein Aata Hoon Main Dhwaza Uthaane Dharm Ki Hi Shrishti Saari Meri Hai To Naam Se Tere Kyun Ho Yug? Devdutt Ke Pairo Tale Raundunga Main Teri Sena Paapiyon Ka Lahu Prapaat Tay Unke Hai Dhad Se Behna Maana Ki Insaanon Ki Bahumat Khadi Tere Peeche Kheench Sakega Bhakton Ko Par Na Tera Moh Ka Gehna Har Adharmi Seene Pe Dharm Ka Teekha Bharunga Baan Ranbhoomi Pe Hogi Bhent, Honge Guru Parshuram Treta Mein Mere Liye Thi Lanka Jisne Khaak Kari Kale Yug Ke Yudh Mein Sath Khade Honge Hanuman [Mahendra Kapoor] Kitni Hi Baar Dayanidhi Ne Sansar Ko Aake Ubhar Liya Jab Jab Dharti Par Dharm Ghata Tab Tab Prabhu Ne Avatar Liya Karo Hari Darshan, Karo Hari Darshan Karo Hari Darshan, Karo Hari Darshan Kitni Hi Baar Dayanidhi Ne Sansar Ko Aake Ubhar Liya

Bhakti Mp3 Songs

Top Download Songs

Insta Viral Songs

[Close]